Sunday, October 17, 2010

Koshish...

==========================================
Naakamiyon se humko ab na koi sarokaar hai
Mehrumiyon ka ab to zikr bhi bekaar hai

Ashkon ne saare daagh zamaane ke dho diye
jo baaki hai wo ek hasrat-e-anwaar hai

jabeen ko sajdon se ab koi gila nahi raha
teri parastish pe ab dil ko bhi aitbaar hai

Mai bimar-e-rahat hun is dasht-e-sehra mein
darmiyaan tishnagi-o-taskeen ke ek gard ki deewaar hai
 
Falak chhuna hai to dhoop mein jhulasna bhi hoga
Bulandi ki ye shart nakaabil-e-taqraar hai

==========================================

1 comment:

  1. What language is this? It does sound sweet even though i don't understand a word :)

    ReplyDelete