Showing posts with label My Experiments. Show all posts
Showing posts with label My Experiments. Show all posts

Tuesday, April 10, 2012

Sukoon-e-dil ke liye, raahat-e-jigar ke liye
Tera khayal hi kaafi hai umr bhar ke liye.
Junoon-e-shauq ne pahoncha diya kahan mujhko,
Jahan tarasti hun mai, apni hi khabar ke liye.
Labon pe dum, zabaan khushk, toot-ti saasein,
chala hai kaarwan ab aakhri safar ke liye.
Ilahi sabr ki bhi inteha to hog kabhi,
kinara sadiyon se hai muntazar lehar ke liye...

Sunday, October 17, 2010

Koshish...

==========================================
Naakamiyon se humko ab na koi sarokaar hai
Mehrumiyon ka ab to zikr bhi bekaar hai

Ashkon ne saare daagh zamaane ke dho diye
jo baaki hai wo ek hasrat-e-anwaar hai

jabeen ko sajdon se ab koi gila nahi raha
teri parastish pe ab dil ko bhi aitbaar hai

Mai bimar-e-rahat hun is dasht-e-sehra mein
darmiyaan tishnagi-o-taskeen ke ek gard ki deewaar hai
 
Falak chhuna hai to dhoop mein jhulasna bhi hoga
Bulandi ki ye shart nakaabil-e-taqraar hai

==========================================